zulf jo ruḳh par tire ai mehr-e-tal.at khul ga.ī
ham ko apnī tīra-rozī kī haqīqat khul ga.ī
kyā tamāshā hai rag-e-lailā meñ Duubā neshtar
fasd-e-majnūñ bā.is-e-josh-e-mohabbat khul ga.ī
dil kā saudā ik nigah par hai tirī Thahrā huā
narḳh tū kyā pūchhtā hai ab to qīmat khul ga.ī
ā.īne ko naaz thā kyā apne rū-e-sāf par
aañkh hī par dekhte hī terī sūrat khul ga.ī
thī asīrān-e-qafas ko aarzū parvāz kī
khul ga.ī khiḌkī qafas kī kyā ki qismat khul ga.ī
tere aariz par huā āḳhir ġhubār-e-ḳhat numūd
khul ga.ī ā.īna-rū dil kī kudūrat khul ga.ī
be-takalluf aa.e tum khole hue band-e-qabā
ab girah dil kī hamāre fil-haqīqat khul ga.ī
bāñdhī zāhid ne tavakkul par kamar sau baar chust
lekin āḳhir bā.is-e-sussti-e-himmat khul ga.ī
khulte khulte ruk ga.e vo un ko tū ne ai 'zafar'
sach kaho kis aañkh se dekhā ki chāhat khul ga.ī