Bahadur Shah Zafar

kya kuchh na kiya aur hain kya kuchh nahin karte

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
kyā kuchh na kiyā aur haiñ kyā kuchh nahīñ karte
kuchh karte haiñ aisā ba-ḳhudā kuchh nahīñ karte
apne maraz-e-ġham kā hakīm aur koī hai
ham aur tabīboñ kī davā kuchh nahīñ karte
mālūm nahīñ ham se hijāb un ko hai kaisā
auroñ se to vo sharm o hayā kuchh nahīñ karte
go karte haiñ zāhir ko safā ahl-e-kudūrat
par dil ko nahīñ karte safā kuchh nahīñ karte
vo dilbarī ab tak mirī kuchh karte haiñ lekin
tāsīr tire naale dilā kuchh nahīñ karte
dil ham ne diyā thā tujhe ummīd-e-vafā par
tum ham se nahīñ karte vafā kuchh nahīñ karte
karte haiñ vo is tarah 'zafar' dil pe jafā.eñ
zāhir meñ ye jaano ki jafā kuchh nahīñ karte
Top Urdushayar.com