Bahadur Shah Zafar

jab kabhi dariya mein hote saya-afgan aap hain

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
jab kabhī dariyā meñ hote saya-afgan aap haiñ
fils-e-māhī ko batāte māh-e-raushan aap haiñ
siite haiñ sozan se chāk-e-sīna kyā ai chārasāz
ḳhār-e-ġham siine meñ apne misl-e-sozan aap haiñ
pyaar se kar ke hamā.il ġhair kī gardan meñ haath
mārte teġh-e-sitam se mujh ko gardan aap haiñ
khīñch kar āñkhoñ meñ apnī surma-e-dumbāla-dār
karte paidā sehr se nargis meñ sosan aap haiñ
dekh kar sahrā meñ mujh ko pahle ghabrāyā thā qais
phir jo pahchānā to bolā hazrat-e-man aap haiñ
jī dhaḌaktā hai kahīñ tār-e-rag-e-gul chubh na jaa.e
sej par phūloñ kī karte qasd-e-ḳhuftan aap haiñ
kyā mazā hai teġh-e-qātil meñ ki aksar said-e-ishq
aan kar us par ragaḌte apnī gardan aap haiñ
mujh se tum kyā pūchhte ho kaise haiñ ham kyā kaheñ
jī hī jaane hai ki jaise mushfiq-e-man aap haiñ
pur-ġhurūr o pur-takabbur pur-jafā o pur-sitam
pur-fareb o pur-daġhā pur-makr o pur-fan aap haiñ
zulm-pesha zulm-sheva zulm-rān o zulm-dost
dushman-e-dil dushman-e-jāñ dushman-e-tan aap haiñ
yakka-tāz o neza-bāz o arbada-jū tund-ḳhū
teġh-zan dashna-guzār o nāvak-afgan aap haiñ
tasma-kash tarāz o ġhārat-gar tārāj-sāz
kāfir yaġhmā.ī o qazzāq rahzan aap haiñ
fitna-jū bedād-gar saffāk o azlam kīna-var
garm-jañg o garm-qatl o garm-kushtan aap haiñ
bad-mizāj o bad-dimāġh va bad-shi.ār o bad-sulūk
bad-tarīq o bad-zabāñ bad-ahd o bad-zan aap haiñ
be-muravvat bevafā nā-mehrbāñ nā-āshnā
mere qātil mere hāsid mere dushman aap haiñ
ai 'zafar' kyā pā-e-qātil ke hai bose kī havas
yuuñ jo bismil ho ke sargarm-e-tapīdan aap haiñ
Top Urdushayar.com