Bahadur Shah Zafar

wan rasai nahin to phir kya hai

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
vaañ rasā.ī nahīñ to phir kyā hai
ye judā.ī nahīñ to phir kyā hai
ho mulāqāt to safā.ī se
aur safā.ī nahīñ to phir kyā hai
dilrubā ko hai dilrubā.ī shart
dilrubā.ī nahīñ to phir kyā hai
gila hotā hai āshnā.ī meñ
āshnā.ī nahīñ to phir kyā hai
allāh allāh re un butoñ kā ġhurūr
ye ḳhudā.ī nahīñ to phir kyā hai
maut aa.ī to Tal nahīñ saktī
aur aa.ī nahīñ to phir kyā hai
magas-e-qāb aġhniyā honā hai
be-hayā.ī nahīñ to phir kyā hai
bosa-e-lab dil-e-shikasta ko
momyā.ī nahīñ to phir kyā hai
nahīñ rone meñ gar 'zafar' tāsīr
jag-hañsā.ī nahīñ to phir kyā hai
Top Urdushayar.com