Bahadur Shah Zafar

galiyan tanKHwah Thahri hai agar baT jaegi

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
gāliyāñ tanḳhvāh Thahrī hai agar baT jā.egī
āshiqoñ ke ghar miThā.ī lab shakar baT jā.egī
rū-ba-rū gar hogā yūsuf aur tū aa jā.egā
us kī jānib se zuleḳhā kī nazar baT jā.egī
rahzanoñ meñ nāz-o-ġhamza kī ye jins-e-dīn-o-dil
juuñ matā-e-burda āḳhir ham-digar baT jā.egī
hogā kyā gar bol uTThe ġhair bātoñ meñ mirī
phir tabī.at merī ai bedād gar baT jā.egī
daulat-e-duniyā nahīñ jaane kī hargiz tere saath
baad tere sab yahīñ ai be-ḳhabar baT jā.egī
kar le ai dil jaan ko bhī ranj-o-ġham meñ tū sharīk
ye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar baT jā.egī
muuñg chhātī pe jo dalte haiñ kisī kī dekhnā
jūtiyoñ meñ daal un kī ai 'zafar' baT jā.egī
Top Urdushayar.com