Bahadur Shah Zafar

bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
bharī hai dil meñ jo hasrat kahūñ to kis se kahūñ
sune hai kaun musībat kahūñ to kis se kahūñ
jo tū ho saaf to kuchh maiñ bhī saaf tujh se kahūñ
tire hai dil meñ kudūrat kahūñ to kis se kahūñ
na kohkan hai na majnūñ ki the mire hamdard
maiñ apnā dard-e-mohabbat kahūñ to kis se kahūñ
dil us ko aap diyā aap hī pashemāñ huuñ
ki sach hai apnī nadāmat kahūñ to kis se kahūñ
kahūñ maiñ jis se use hove sunte hī vahshat
phir apnā qissa-e-vahshat kahūñ to kis se kahūñ
rahā hai tū hī to ġham-ḳhvār ai dil-e-ġham-ghīñ
tire sivā ġham-e-furqat kahūñ to kis se kahūñ
jo dost ho to kahūñ tujh se dostī kī baat
tujhe to mujh se adāvat kahūñ to kis se kahūñ
na mujh ko kahne kī tāqat kahūñ to kyā ahvāl
na us ko sunñe kī fursat kahūñ to kis se kahūñ
kisī ko dekhtā itnā nahīñ haqīqat meñ
'zafar' maiñ apnī haqīqat kahūñ to kis se kahūñ
Top Urdushayar.com