yā mujhe afsar-e-shāhāna banāyā hotā
yā mirā taaj gadāyāna banāyā hotā
apnā dīvāna banāyā mujhe hotā tū ne
kyuuñ ḳhirad-mand banāyā na banāyā hotā
ḳhāksārī ke liye garche banāyā thā mujhe
kaash ḳhāk-e-dar-e-jānāna banāyā hotā
nashsha-e-ishq kā gar zarf diyā thā mujh ko
umr kā tañg na paimāna banāyā hotā
dil-e-sad-chāk banāyā to balā se lekin
zulf-e-mushkīñ kā tire shāna banāyā hotā
sūfiyoñ ke jo na thā lā.eq-e-sohbat to mujhe
qābil-e-jalsa-e-rindāna banāyā hotā
thā jalānā hī agar dūri-e-sāqī se mujhe
to charāġh-e-dar-e-mai-ḳhāna banāyā hotā
shola-e-husn chaman meñ na dikhāyā us ne
varna bulbul ko bhī parvāna banāyā hotā
roz māmūra-e-duniyā meñ ḳharābī hai 'zafar'
aisī bastī ko to vīrāna banāyā hotā