shamshīr-e-barhana maañg ġhazab bāloñ kī mahak phir vaisī hī
juuḌe kī guñdhāvaT qahr-e-ḳhudā bāloñ kī mahak phir vaisī hī
āñkheñ haiñ kaTorā sī vo sitam gardan hai surāhī-dār ġhazab
aur usī meñ sharāb-e-surḳhi-e-pāñ rakhtī hai jhalak phir vaisī hī
har baat meñ us kī garmī hai har naaz meñ us ke shoḳhī hai
qāmat hai qayāmat chaal parī chalne meñ phaḌak phir vaisī hī
gar rañg bhabūkā ātish hai aur biinī shola-e-sarkash hai
to bijlī sī kauñde hai parī aariz kī chamak phir vaisī hī
nau-ḳhez kucheñ do ġhuncha haiñ hai narm shikam ik ḳhirman-e-gul
bārīk kamar jo shāḳh-e-gul rakhtī hai lachak phir vaisī hī
hai naaf koī girdāb-e-balā aur gol surīñ rāneñ haiñ safā
hai saaq bilorīñ sham-e-ziyā paañv kī kafak phir vaisī hī
mahram hai habāb-e-āb-e-ravāñ sūraj kī kiran hai us pe lipaT
jaalī kī kurtī hai vo balā goTe kī dhanak phir vaisī hī
vo gaa.e to aafat laa.e hai har taal meñ leve jaan nikāl
naach us kā uThā.e sau fitne ghuñgrū kī jhanak phir vaisī hī
har baat pe ham se vo jo 'zafar' kartā hai lagāvaT muddat se
aur us kī chāhat rakhte haiñ ham aaj talak phir vaisī hī