Bahadur Shah Zafar

tufta-jaanon ka ilaj ai ahl-e-danish aur hai

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
tufta-jānoñ kā ilaaj ai ahl-e-dānish aur hai
ishq kī ātish balā hai us kī sozish aur hai
kyuuñ na vahshat meñ chubhe har mū ba-shakl-e-nīsh-tez
ḳhār-e-ġham kī tere dīvāne kī kāvish aur hai
mutribo bā-sāz aao tum hamārī bazm meñ
sāz-o-sāmāñ se tumhārī itnī sāzish aur hai
thūktā bhī duḳhtar-e-raz par nahīñ mast-e-alast
jo ki hai us fāhisha par ġhash vo fāhish aur hai
taab kyā ham-tāb hove us se ḳhurshīd-e-falak
āftāb-e-dāġh-e-dil kī apne tābish aur hai
sab miTā deñ dil se haiñ jitnī ki us meñ ḳhvāhisheñ
gar hameñ mālūm ho kuchh us kī ḳhvāhish aur hai
abr mat ham-chashm honā chashm-e-dariyā-bār se
terī bārish aur hai aur us kī bārish aur hai
hai to gardish charḳh kī bhī fitna-añgezī meñ taaq
terī chashm-e-fitna-zā kī lek gardish aur hai
but-parastī jis se hove haq-parastī ai 'zafar'
kyā kahūñ tujh se ki vo tarz-e-parastish aur hai
Top Urdushayar.com