jab ki pahlū meñ hamāre but-e-ḳhud-kām na ho
girye se shām-o-sahar kyuuñ ki hameñ kaam na ho
le gayā dil kā jo ārām hamāre yā rab
us dil-ārām ko mutlaq kabhī ārām na ho
jis ko samjhe lab-e-pāñ-ḳhurda vo mālida-misī
mardumāñ dekhiyo phūlī vo kahīñ shaam na ho
aaj tashrīf gulistāñ meñ vo mai-kash laayā
kaf-e-nargis pe dharā kyūñki bhalā jaam na ho
kar mujhe qatl vahāñ ab ki na ho koī jahāñ
tā mirī jaañ tū kahīñ ḳhalq meñ badnām na ho
dekh kar kholiyo tū kākul-e-pechāñ kī girah
ki mirā tā.ir-e-dil us ke tah-e-dām na ho
bin tire ai but-e-ḳhud-kām ye dil ko hai ḳhatar
tere āshiq kā tamām aah kahīñ kaam na ho
aaj har ek jo yaaro nazar aatā hai niDhāl
apnī abrū kī vo khīñche hue samsām na ho
hai mire shoḳh kī bālīda vo kāfir āñkheñ
jis ke ham chashm zarā nargis-e-bādām na ho
sub.h hotī hī nahīñ aur nahīñ kaTtī raat
ruḳh pe khole vo kahīñ zulf-e-siyāh-fām na ho
ai 'zafar' charḳh pe ḳhurshīd jo yuuñ kāñpe hai
jalva-gar aaj kahīñ yaar lab-e-bām na ho