Bahadur Shah Zafar

hawa mein phirte ho kya hirs aur hawa ke liye

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
havā meñ phirte ho kyā hirs aur havā ke liye
ġhurūr chhoḌ do ai ġhāfilo ḳhudā ke liye
girā diyā hai hameñ kis ne chāh-e-ulfat meñ
ham aap Duube kisī apne āshnā ke liye
jahāñ meñ chāhiye aivān o qasr shāhoñ ko
ye ek gumbad-e-gardūñ hai bas gadā ke liye
vo ā.īna hai ki jis ko hai hājat-e-sīmāb
ik iztirāb hai kaafī dil-e-safā ke liye
tapish se dil kā ho kyā jaane siine meñ kyā haal
jo tere tiir kā rauzan na ho havā ke liye
tabīb-e-ishq kī dukkāñ meñ DhūñDte phirte
ye dardmand-e-mohabbat tirī davā ke liye
jo haath aa.e 'zafar' ḳhāk-pā-e-'faḳhruddīn'
to maiñ rakhūñ use āñkhoñ ke tūtiyā ke liye
Top Urdushayar.com