mar ga.e ai vaah un kī nāz-bardārī meñ ham
dil ke hāthoñ se paḌe kaisī giraftārī meñ ham
sab pe raushan hai hamārī sozish-e-dil bazm meñ
sham.a saañ jalte haiñ apnī garm-bāzārī meñ ham
yaad meñ hai tere dam kī āmad-o-shud pur-ḳhayāl
be-ḳhabar sab se haiñ is dam kī ḳhabardārī meñ ham
jab hañsāyā gardish-e-gardūñ ne ham ko shakl-e-gul
misl-e-shabnam haiñ hamesha girya o zaarī meñ ham
chashm o dil biinā hai apne roz o shab ai mardumāñ
garche sote haiñ ba-zāhir par haiñ bedārī meñ ham
dosh par raḳht-e-safar bāñdhe hai kyā ġhuncha sabā
dekhte haiñ sab ko yaañ jaise ki tayyārī meñ ham
kab talak be-dīd se yā rab rakheñ chashm-e-vafā
lag rahe haiñ aaj kal to dil kī ġham-ḳhvārī meñ ham
dekh kar ā.īna kyā kahtā hai yaaro ab vo shoḳh
maah se sad chand behtar haiñ adā-dārī meñ ham
ai 'zafar' likh tū ġhazal bahr o qavāfī pher kar
ḳhāma-e-dur-rez se haiñ ab guhar-bārī meñ ham