Bahadur Shah Zafar

kya kahun dil mail-e-zulf-e-dota kyunkar hua

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
kyā kahūñ dil mā.il-e-zulf-e-dotā kyūñkar huā
ye bhalā chañgā giraftār-e-balā kyūñkar huā
jin ko mehrāb-e-ibādat ho ḳham-e-abrū-e-yār
un kā kaabe meñ kaho sajda adā kyūñkar huā
dīda-e-hairāñ hamārā thā tumhāre zer-e-pā
ham ko hairat hai ki paidā naqsh-e-pā kyūñkar huā
nāma-bar ḳhat de ke us nau-ḳhat ko tū ne kyā kahā
kyā ḳhatā tujh se huī aur vo ḳhafā kyūñkar huā
ḳhāksārī kyā ajab khove agar dil kā ġhubār
ḳhaak se dekho ki ā.īna safā kyūñkar huā
jin ko yaktā.ī kā da.avā thā vo misl-e-ā.īna
un ko hairat hai ki paidā dūsrā kyūñkar huā
tere dāñtoñ ke tasavvur se na thā gar āb-dār
jo bahā aañsū vo durr-e-be-bahā kyūñkar huā
jo na honā thā huā ham par tumhāre ishq meñ
tum ne itnā bhī na pūchhā kyā huā kyūñkar huā
vo to hai nā-āshnā mash.hūr aalam meñ 'zafar'
par ḳhudā jaane vo tujh se āshnā kyūñkar huā
Top Urdushayar.com