Bahadur Shah Zafar

na daim gham hai ne ishrat kabhi yun hai kabhi wun hai

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
na daa.im ġham hai ne ishrat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
tabaddul yaañ hai har saa.at kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
garebāñ-chāk huuñ gaahe uḌātā ḳhaak huuñ gaahe
liye phirtī mujhe vahshat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
abhī haiñ vo mire hamdam abhī ho jā.eñge dushman
nahīñ ik vaz.a par sohbat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
jo shakl-e-shīsha giryāñ huuñ to misl-e-jām ḳhandāñ huuñ
yahī hai yaañ kī kaifiyyat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
kisī vaqt ashk haiñ jaarī kisī vaqt aah aur zaarī
ġharaz hāl-e-ġham-e-furqat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
koī din hai bahār-e-gul phir āḳhir hai ḳhizāñ bilkul
chaman hai manzil-e-ibrat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
'zafar' ik baat par daa.im vo hove kis tarah qaa.im
jo apnī phertā niyyat kabhī yuuñ hai kabhī vuuñ hai
Top Urdushayar.com