Bahadur Shah Zafar

shane ki har zaban se sune koi laf-e-zulf

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
shāne kī har zabāñ se sune koī lāf-e-zulf
chīre hai siina raat ko ye mū-shigāf-e-zulf
jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyāh
is tarah is sanam ke hai ruḳh par ġhilāf-e-zulf
barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yār
shāmat-zada ne kyā kiyā aisā ḳhilāf-e-zulf
matlab na kufr o diiñ se na dair o haram se kaam
kartā hai dil tavāf-e-izār o tavāf-e-zulf
nāf-e-ġhazāl-e-chīñ hai ki hai nāfa-e-tatār
kyūñkar kahūñ ki hai girah-e-zulf nāf-e-zulf
aapas meñ aaj dast-o-garebāñ hai roz o shab
ai mehr-vash zarī kā nahīñ mū-e-bāf-e-zulf
kahtā hai koī jiim koī laam zulf ko
kahtā huuñ maiñ 'zafar' ki musattah hai kāf-e-zulf
Top Urdushayar.com