qārūñ uThā ke sar pe sunā ganj le chalā
duniyā se kyā baḳhīl ba-juz rañj le chalā
minnat thī bosa-e-lab-e-shīrīñ ki dil mirā
mujh ko sū-e-mazār-e-shakar ganj le chalā
saaqī sambhāltā hai to jaldī mujhe sambhāl
varna uḌā ke paañ nasha-e-banj le chalā
dauḌā ke haath chhātī pe ham un kī yuuñ phire
jaise koī chor aa ke ho nāranj le chalā
chausar kā lutf ye hai ki jis vaqt po paḌe
ham bar-chahār bole to bar-panj le chalā
jis dam 'zafar' ne paḌh ke ġhazal haath se rakhī
āñkhoñ pe rakh har ek suḳhan-sanj le chalā