mohabbat chāhiye bāham hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
ḳhushī ho is meñ yā ho ġham hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
ġhanīmat tum ise samjho ki is ḳhum-ḳhāne meñ yaaro
nasīb ik-dam dil-e-ḳhurram hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
dilāo hazrat-e-dil tum na yād-e-ḳhat-e-sabz us kā
kahīñ aisā na ho ye sam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
hamesha chāhtā hai dil ki mil kar kiije mai-noshī
mayassar jām-e-mai-e-jam-jam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
ham apnā ishq chamkā.eñ tum apnā husn chamkāo
ki hairāñ dekh kar aalam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
rahe hirs-o-havā daa.im azīzo saath jab apne
na kyūñkar fikr-e-besh-o-kam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho
'zafar' se kahtā hai majnūñ kahīñ dard-e-dil mahzūñ
jo ġham se fursat ab ik dam hameñ bhī ho tumheñ bhī ho