Bahadur Shah Zafar

hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
ham ye to nahīñ kahte ki ġham kah nahīñ sakte
par jo sabab-e-ġhum hai vo ham kah nahīñ sakte
ham dekhte haiñ tum meñ ḳhudā jaane buto kyā
is bhed ko allāh kī qasam kah nahīñ sakte
rusvā-e-jahāñ kartā hai ro ro ke hameñ tū
ham tujhe kuchh ai dīda-e-nam kah nahīñ sakte
kyā pūchhtā hai ham se tū ai shoḳh sitamgar
jo tū ne kiye ham pe sitam kah nahīñ sakte
hai sabr jinheñ talḳh-kalāmī ko tumhārī
sharbat hī batāte haiñ sam kah nahīñ sakte
jab kahte haiñ kuchh baat rukāvaT kī tire ham
ruk jaatā hai ye siine meñ dam kah nahīñ sakte
allāh re tirā ro.ab ki ahvāl-e-dil apnā
de dete haiñ ham kar ke raqam kah nahīñ sakte
tubā-e-bahishtī hai tumhārā qad-e-ra.anā
ham kyūñkar kaheñ sarv-e-iram kah nahīñ sakte
jo ham pe shab-e-hijr meñ us māh-e-laqā ke
guzre haiñ 'zafar' rañj o alam kah nahīñ sakte
Top Urdushayar.com