Bahadur Shah Zafar

hai dil ko jo yaad aai falak-e-pir kisi ki

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
hai dil ko jo yaad aa.ī falak-e-pīr kisī kī
āñkhoñ ke tale phirtī hai tasvīr kisī kī
girya bhī hai naala bhī hai aur āh-o-fuġhāñ bhī
par dil meñ huī us ke na tāsīr kisī kī
haath aa.e hai kyā ḳhaak tire ḳhāk-e-kaf-e-pā
jab tak ki na qismat meñ ho iksīr kisī kī
yaaro vo hai bigḌā huā bāteñ na banāo
kuchh pesh nahīñ jaane kī taqrīr kisī kī
nāzāñ na ho mun.im ki jahāñ terā mahal hai
hovegī yahāñ pahle bhī ta.amīr kisī kī
merī girah-e-dil na khulī hai na khulegī
jab tak na khule zulf-e-girah-gīr kisī kī
aatā bhī agar hai to vo phir jaa.e hai ulTā
jis vaqt ulaT jaa.e hai taqdīr kisī kī
is abrū o mizhgāñ se 'zafar' tez ziyāda
ḳhanjar na kisī kā hai na shamshīr kisī kī
jo dil se udhar jaa.e nazar dil ho giraftār
mujrim ho koī aur ho taqsīr kisī kī
Top Urdushayar.com