Bahadur Shah Zafar

nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qarar o shakeb zara na raha

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
nahīñ ishq meñ is kā to ranj hameñ ki qarār o shakeb zarā na rahā
ġham-e-ishq to apnā rafīq rahā koī aur balā se rahā na rahā
diyā apnī ḳhudī ko jo ham ne uThā vo jo parda sā biich meñ thā na rahā
rahe parde meñ ab na vo parda-nashīñ koī dūsrā us ke sivā na rahā
na thī haal kī jab hameñ ḳhabar rahe dekhte auroñ ke aib o hunar
paḌī apnī burā.iyoñ par jo nazar to nigāh meñ koī burā na rahā
tire ruḳh ke ḳhayāl meñ kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jazā
tirī zulf ke dhyān meñ kaun sī shab mire sar pe hujūm-e-balā na rahā
hameñ sāġhar-e-bāda ke dene meñ ab kare der jo saaqī to haa.e ġhazab
ki ye ahd-e-nashāt ye daur-e-tarab na rahegā jahāñ meñ sadā na rahā
ka.ī roz meñ aaj vo mehr-liqā huā mere jo sāmne jalva-numā
mujhe sabr o qarār zarā na rahā use pās-e-hijāb-o-hayā na rahā
tire ḳhanjar o teġh kī āb-e-ravāñ huī jab ki sabīl-e-sitam-zadgāñ
ga.e kitne hī qāfile ḳhushk-zabāñ koī tishna-e-āb-e-baqā na rahā
mujhe saaf batā.e nigār agar to ye pūchhūñ maiñ ro ro ke ḳhūn-e-jigar
male paañv se kis ke haiñ dīda-e-tar kaf-e-pā pe jo rañg-e-hinā na rahā
use chāhā thā maiñ ne ki rok rakhūñ mirī jaan bhī jaa.e to jaane na duuñ
kiye laakh fareb karoḌ fusūñ na rahā na rahā na rahā na rahā
lage yuuñ to hazāroñ hī tīr-e-sitam ki taḌapte rahe paḌe ḳhaak pe ham
vale naaz o karishma kī teġh-e-do-dam lagī aisī ki tasma lagā na rahā
'zafar' aadmī us ko na jāniyegā vo ho kaisā hī sāhab-e-fahm-o-zakā
jise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā
Top Urdushayar.com