ham ne tirī ḳhātir se dil-e-zār bhī chhoḌā
tū bhī na huā yaar aur ik yaar bhī chhoḌā
kyā hogā rafūgar se rafū merā garebān
ai dast-e-junūñ tū ne nahīñ taar bhī chhoḌā
diiñ de ke gayā kufr ke bhī kaam se āshiq
tasbīh ke saath us ne to zunnār bhī chhoḌā
goshe meñ tirī chashm-e-siyah-mast ke dil ne
kī jab se jagah ḳhāna-e-ḳhummār bhī chhoḌā
is se hai ġharīboñ ko tasallī ki ajal ne
muflis ko jo maarā to na zardār bhī chhoḌā
TeḌhe na ho ham se rakho iḳhlās to sīdhā
tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhī chhoḌā
kyā chhoḌeñ asīrān-e-mohabbat ko vo jis ne
sadqe meñ na ik murġh-e-giraftār bhī chhoḌā
pahuñchī mirī rusvā.ī kī kyūñkar ḳhabar us ko
us shoḳh ne to dekhnā aḳhbār bhī chhoḌā
kartā thā jo yaañ aane kā jhūTā kabhī iqrār
muddat se 'zafar' us ne vo iqrār bhī chhoḌā