Bahadur Shah Zafar

ye qissa wo nahin tum jis ko qissa-KHwan se suno

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
ye qissa vo nahīñ tum jis ko qissa-ḳhvāñ se suno
mire fasāna-e-ġham ko mirī zabāñ se suno
sunāo dard-e-dil apnā to dam-ba-dam fariyād
misāl-e-nai mirī har ek ustuḳhvāñ se suno
karo hazār sitam le ke zikr kyā yak yaar
shikāyat apnī tum is apne nīm-jāñ se suno
ḳhudā ke vāste ai hamdamo na bolo tum
payām laayā hai kyā nāma-bar vahāñ se suno
tumhāre ishq ne rusvā kiyā jahāñ meñ hameñ
hamārā zikr na tum kyūñki ik jahāñ se suno
suno tum apnī jo teġh-e-nigāh ke ausāf
jo tum ko sunñā ho us shoḳh-e-dil-sitāñ se suno
'zafar' vo bosa to kyā degā par koī dushnām
jo tum ko sunñā ho us shoḳh-e-dil-sitāñ se suno
Top Urdushayar.com