vo sau sau aTkhaToñ se ghar se bāhar do qadam nikle
balā se us kī gar us meñ kisī muztar kā dam nikle
kahāñ aañsū ke qatre ḳhūn-e-dil se haiñ baham nikle
ye dil meñ jam.a the muddat se kuchh paikān-e-ġham nikle
mire mazmūn-e-soz-e-dil se ḳhat sab jal gayā merā
qalam se harf jo nikle sharar hī yak-qalam nikle
nikāl ai chāragar tū shauq se lekin sar-e-paikāñ
udhar nikle jigar se tiir udhar qālib se dam nikle
tasavvur se lab-e-la.alīñ ke tere ham agar ro deñ
to jo laḳht-e-jigar āñkhoñ se nikle ik raqam nikle
nahīñ Darte agar hoñ laakh zindāñ yaar zindāñ se
junūn ab to misāl-e-nāla-e-zanjīr ham nikle
jigar par daaġh lab par dūd-e-dil aur ashk dāman meñ
tirī mahfil se ham mānind-e-sham.a sub.h-dam nikle
agar hotā zamāna gesū-e-shab-rañg kā tere
mirī shab-dīz saudā kā ziyāda-tar qadam nikle
kajī jin kī tabī.at meñ hai kab hotī vo sīdhī hai
kaho shāḳh-e-gul-e-tasvīr se kis tarah ḳham nikle
shumār ik shab kiyā ham ne jo apne dil ke dāġhoñ se
to anjum charḳh-e-hashtum ke bahut se un se kam nikle
ḳhudā ke vāste zāhid uThā parda na kaabe kā
kahīñ aisā na ho yaañ bhī vahī kāfir-sanam nikle
tamannā hai ye dil meñ jab talak hai dam meñ dam apne
'zafar' muñh se hamāre naam us kā dam-ba-dam nikle