ishq to mushkil hai ai dil kaun kahtā sahl hai
lek nādānī se apnī tū ne samjhā sahl hai
gar khule dil kī girah tujh se to ham jāneñ tujhe
ai sabā ġhunche kā uqda khol denā sahl hai
hamdamo dil ke lagāne meñ kaho lagtā hai kyā
par chhuḌānā is kā mushkil hai lagānā sahl hai
garche mushkil hai bahut merā ilāj-e-dard-e-dil
par jo tū chāhe to ai rashk-e-masīhā sahl hai
hai bahut dushvār marnā ye sunā karte the ham
par judā.ī meñ tirī ham ne jo dekhā sahl hai
sham.a ne jal kar jalāyā bazm meñ parvāne ko
bin jale apne jalānā kyā kisī kā sahl hai
ishq kā rasta sarāsar hai dam-e-shamshīr par
bul-havas is raah meñ rakhnā qadam kyā sahl hai
ai 'zafar' kuchh ho sake to fikr kar uqbā kā tū
kar na duniyā kā taraddud kār-e-duniyā sahl hai