Bahadur Shah Zafar

main hun aasi ki pur-KHata kuchh hun

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
maiñ huuñ aasī ki pur-ḳhatā kuchh huuñ
terā banda huuñ ai ḳhudā kuchh huuñ
juzv o kul ko nahīñ samajhtā maiñ
dil meñ thoḌā sā jāntā kuchh huuñ
tujh se ulfat nibāhtā huuñ maiñ
bā-vafā huuñ ki bevafā kuchh huuñ
jab se nā-āshnā huuñ maiñ sab se
tab kahīñ us se āshnā kuchh huuñ
nashsha-e-ishq le uḌā hai mujhe
ab maze meñ uḌā rahā kuchh huuñ
ḳhvāb merā hai ain bedārī
maiñ to us meñ bhī dekhtā kuchh huuñ
garche kuchh bhī nahīñ huuñ maiñ lekin
us pe bhī kuchh na pūchho kyā kuchh huuñ
samjhe vo apnā ḳhāksār mujhe
ḳhāk-e-rah huuñ ki ḳhāk-e-pā kuchh huuñ
chashm-e-altāf faḳhr-e-dīñ se huuñ
ai 'zafar' kuchh se ho gayā kuchh huuñ
Top Urdushayar.com