dekho insāñ ḳhaak kā putlā banā kyā chiiz hai
boltā hai is meñ kyā vo boltā kyā chiiz hai
rū-ba-rū us zulf ke dām-e-balā kyā chiiz hai
us nigah ke sāmne tīr-e-qazā kyā chiiz hai
yuuñ to haiñ saare butāñ ġhārat-gar-e-īmān-o-dīñ
ek vo kāfir sanam nām-e-ḳhudā kyā chiiz hai
jis ne dil merā diyā dām-e-mohabbat meñ phañsā
vo nahīñ mālūm muj ko nāsehā kyā chiiz hai
hove ik qatra jo zahrāb-e-mohabbat kā nasīb
ḳhizr phir to chashma-e-āb-e-baqā kyā chiiz hai
marg hī sehat hai us kī marg hī us kā ilaaj
ishq kā bīmār kyā jaane davā kyā chiiz hai
dil mirā baiThā hai le kar phir mujhī se vo nigār
pūchhtā hai haath meñ mere batā kyā chiiz hai
ḳhaak se paidā hue haiñ dekh rañgā-rañg gul
hai to ye nāchīz lekin is meñ kyā kyā chiiz hai
jis kī tujh ko justujū hai vo tujhī meñ hai 'zafar'
DhūñDtā phir phir ke to phir jā-ba-jā kyā chiiz hai