Bahadur Shah Zafar

pan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
paan khā kar surma kī tahrīr phir khīñchī to kyā
jab mirā ḳhuuñ ho chukā shamshīr phir khīñchī to kyā
ai muhavvis jab ki zar tere nasīboñ meñ nahīñ
tū ne mehnat bhī pai-e-iksīr phir khīñchī to kyā
gar khiñche siine se nāvak ruuh tū qālib se khīñch
ai ajal jab khiñch gayā vo tiir phir khīñchī to kyā
khīñchtā thā paañv merā pahle hī zanjīr se
ai junūñ tū ne mirī zanjīr phir khīñchī to kyā
daar hī par us ne khīñchā jab sar-e-bāzār-e-ishq
laash bhī merī pai-e-tashhīr phir khīñchī to kyā
khīñch ab naala koī aisā ki ho us ko asar
tū ne ai dil āh-e-pur-tāsīr phir khīñchī to kyā
chāhiye us kā tasavvur hī se naqsha khīñchnā
dekh kar tasvīr ko tasvīr phir khīñchī to kyā
khīñch le avval hī se dil kī inān-e-iḳhtiyār
tū ne gar ai āshiq-e-dil-gīr phir khīñchī to kyā
kyā huā aage uThā.e gar 'zafar' ehsān-e-aql
aur agar ab minnat-e-tadbīr phir khīñchī to kyā
Top Urdushayar.com