Bahadur Shah Zafar

yan KHak ka bistar hai gale mein kafni hai

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
yaañ ḳhaak kā bistar hai gale meñ kafnī hai
vaañ haath meñ ā.īna hai gul pairahanī hai
hāthoñ se hameñ ishq ke din raat nahīñ chain
fariyād o fuġhāñ din ko hai shab nāra-zanī hai
hushyār ho ġhaflat se tū ġhāfil na ho ai dil
apnī to nazar meñ ye jagah be-vatanī hai
kuchh kah nahīñ saktā huuñ zabāñ se ki zarā dekh
kyā jaa.e hai jis jaa.e na kuchh dam-zadanī hai
mizhgāñ pe mire laḳht-e-jigar hī nahīñ yaaro
is taar se vo rishta aqīq-e-yamanī hai
likh aur ġhazal qāfiye ko pher 'zafar' tū
ab tab.a kī dariyā kī tirī mauj-zanī hai
Top Urdushayar.com