hijr ke haath se ab ḳhaak paḌe jiine meñ
dard ik aur uThā aah nayā siine meñ
ḳhūn-e-dil piine se jo kuchh hai halāvat ham ko
ye mazā aur kisī ko nahīñ mai piine meñ
dil ko kis shakl se apne na musaffā rakkhūñ
jalva-gar yaar kī sūrat hai is ā.īne meñ
ashk o laḳht-e-jigar āñkhoñ meñ nahīñ haiñ mere
haiñ bhare laal o guhar ishq ke ganjīne meñ
shakl-e-ā.īna 'zafar' se to na rakh dil meñ ḳhayāl
kuchh mazā bhī hai bhalā jaan mirī lene meñ