Bahadur Shah Zafar

karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
kareñge qasd ham jis dam tumhāre ghar meñ āveñge
jo hogī umr bhar kī raah to dam bhar meñ āveñge
agar hāthoñ se us shīrīñ-adā ke zab.h hoñge ham
to sharbat ke se ghūñT āb-e-dam-e-ḳhanjar meñ āveñge
yahī gar josh-e-girya hai to bah kar saath ashkoñ ke
hazāroñ pāra-e-dil mere chashm-e-tar meñ āveñge
gar is qaid-e-balā se ab kī chhūTeñge to phir hargiz
na ham dām-e-fareb-e-shoḳh-e-ġhārat-gar meñ āveñge
na jaate garche mar jaate jo ham mālūm kar jaate
ki itnā tañg jā kar kūcha-e-dilbar meñ āveñge
garebāñ-chāk lākhoñ haath se us mehr-e-tal.at ke
ba-rañg-e-sub.h-e-mahshar arsa-e-mahshar meñ āveñge
jo sargardānī apnī tere dīvāne dikhā.eñge
to phir kyā kyā bagūle dasht ke chakkar meñ āveñge
'zafar' apnā karishma gar dikhāyā chashm-e-sāqī ne
tamāshe jām-e-jam ke sab nazar sāġhar meñ āveñge
Top Urdushayar.com