lagtā nahīñ hai dil mirā ujḌe dayār meñ
kis kī banī hai ālam-e-nā-pā.edār meñ
kah do in hasratoñ se kahīñ aur jā baseñ
itnī jagah kahāñ hai dil-e-dāġh-dār meñ
kāñToñ ko mat nikāl chaman se o bāġhbāñ
ye bhī guloñ ke saath pale haiñ bahār meñ
bulbul ko bāġhbāñ se na sayyād se gila
qismat meñ qaid likkhī thī fasl-e-bahār meñ
kitnā hai bad-nasīb 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamīn bhī na milī kū-e-yār meñ