Bahadur Shah Zafar

waqif hain hum ki hazrat-e-gham aise shaKHs hain

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
vāqif haiñ ham ki hazrat-e-ġham aise shaḳhs haiñ
aur phir ham un ke yaar haiñ ham aise shaḳhs haiñ
dīvāne tere dasht meñ rakkheñge jab qadam
majnūñ bhī legā un ke qadam aise shaḳhs haiñ
jin pe hoñ aise zulm o sitam ham nahīñ vo log
hoñ roz balki lutf o karam aise shaḳhs haiñ
yuuñ to bahut haiñ aur bhī ḳhūbān-e-dil-fareb
par jaise pur-fan aap haiñ kam aise shaḳhs haiñ
kyā kyā jafā-kashoñ pe haiñ un dilbaroñ ke zulm
aisoñ ke sahte aise sitam aise shaḳhs haiñ
diiñ kyā hai balki dījiye īmān bhī unheñ
zāhid ye but ḳhudā kī qasam aise shaḳhs haiñ
āzurda huuñ adū ke jo kahne pe ai 'zafar'
ne aise shaḳhs vo haiñ na ham aise shaḳhs haiñ
Top Urdushayar.com