Bahadur Shah Zafar

kafir tujhe allah ne surat to pari di

Bahadur Shah Zafar

Delhi, India

1775-1862
kāfir tujhe allāh ne sūrat to parī dī
par haif tire dil meñ mohabbat na zarī dī
dī tū ne mujhe saltanat-e-bahr-o-bar ai ishq
hoñToñ ko jo ḳhushkī mirī āñkhoñ ko tarī dī
ḳhāl-e-lab-e-shīrīñ kā diyā bosa kab us ne
ik chaaT lagāne ko mire nīshkarī dī
kāfir tire saudā-e-sar-e-zulf ne mujh ko
kyā kyā na pareshānī o āshufta-sarī dī
mehnat se hai azmat ki zamāne meñ nagīñ ko
be-kāvish-e-sīna na kabhī nāmvarī dī
sayyād ne dī ruḳhsat-e-parvāz par afsos
tū ne na ijāzat mujhe be-bāl-o-parī dī
kahtā tirā kuchh soḳhta-jāñ lek ajal ne
fursat na use misl-e-charāġh-e-saharī dī
qassam-e-azal ne na rakhā ham ko bhī mahrūm
garche na diyā koī hunar be-hunarī dī
us chashm meñ hai surme kā dumbāla pur-āshob
kyuuñ haath meñ badmast ke bandūq bharī dī
dil de ke kiyā ham ne tirī zulf kā saudā
ik aap balā apne liye mol ḳharīdī
saaqī ne diyā kyā mujhe ik sāġhar-e-sarshār
goyā ki do aalam se 'zafar' be-ḳhabarī dī
Top Urdushayar.com