ek kashtī-kāġhzī par ġhaur-o-ḳhauz
hogā merī sādgī par ġhaur-o-ḳhauz
ādamiyat kā nishāñ miTtā gayā
ho rahā hai aadmī par ġhaur-o-ḳhauz
jo muḳhālif the mire karte haiñ vo
aaj merī shā.irī par ġhaur-o-ḳhauz
muflisoñ se koī hamdardī nahīñ
kis liye hai muflisī par ġhaur-o-ḳhauz
kaun behtar hai ye unvāñ chhoḌ kar
kaash hotā behtarī par ġhaur-o-ḳhauz
aa.iye karte haiñ be-jañg-o-jadal
bāhamī rassa-kashī par ġhaur-o-ḳhauz
be-basoñ kā zehn tak mā.ūf thā
kaun kartā bebasī par ġhaur-o-ḳhauz