faqat dīvār kā dar kā tahaffuz
ho us se kyā mire ghar kā tahaffuz
hamārī zaat hai bār-e-garāñ kab
magar ik mas.ala sar kā tahaffuz
alī kī zaat kā ye falsafa hai
ibādat hai payambar kā tahaffuz
haiñ āñkheñ aa.ina dil kā yaqīnan
huā dūbhar khule ghar kā tahaffuz
ye shān-e-rab nahīñ to aur kyā hai
kareñ kāñTe gul-e-tar kā tahaffuz
difā-e-nafs meñ ye ghūmtā hai
bhañvar se hai samundar kā tahaffuz
havāoñ kī nazar is baat par hai
ki ho kaise bavanDar kā tahaffuz
miyāñ-'hassās' kyuuñ ho zid pe maa.il
koī kartā hai kyā shar kā tahaffuz