ġhazloñ kī kā.enāt kā badlā huā hai Dhañg
allāh jaane kis ghaḌī bedār ho malañg
maiñ bhī mirā raqīb bhī donoñ haiñ zaḳhm zaḳhm
donoñ lahūluhān haiñ ye hai anā kā rañg
sar kāTtā na aap kā kartā maiñ kyā bhalā
is baar laḌ rahā thā maiñ apnī baqā kī jañg
muflis ne gar amiir ko chāñTā jaḌā to kyā
ātish-fishāñ bhī paltā hai ġhurbat ke sañg sañg
kab tak bhalā yuuñ jhuuT kī rassī baTe.ge aap
kab tak bhalā yuuñ pesh kareñge bhī uzr-e-lañg
is vāste vo āñkhoñ meñ halqa-ba-gosh haiñ
dil ke qarīb jaatī hai āñkhoñ se ik surañg
sajde meñ vālida ke ye 'hassās' thā asar
dast-e-duā ne jiit lī dast-e-qazā se jañg