lahū meñ āj-kal hiddat bahut mushkil se aatī hai
kisī ke dard kī chāhat bahut mushkil se aatī hai
ye sach hai jur.at-e-rindāna se qismat badaltī hai
magar har shaḳhs meñ jur.at bahut mushkil se aatī hai
ki is ke vāste neze pe sar ko rakhnā paḌtā hai
miyāñ haq-goī kī tāqat bahut mushkil se aatī hai
ġharībī ko to mil hī jaatī hai do vaqt kī roTī
magar daulat ke ghar rāhat bahut mushkil se aatī hai
lahū kā ghūñT bharte haiñ tabhī chashma ubaltā hai
kisī ke sher meñ jiddat bahut mushkil se aatī hai
yahāñ par chand sikkoñ ke evaz īmān biktā hai
diloñ meñ diin kī chāhat bahut mushkil se aatī hai