hamārī fikr bhī ḳhasta hamāre kaar ġhalat
hamārī jast ne baḳhshā hameñ hisār ġhalat
kahīñ ye qalb-e-havādis kī taab lā na sake
kahīñ ye dil hī na le le koī qarār ġhalat
ye merā dil hai tamannā.eñ paal letā hai
huā hai is pe bhī saaya koī savār ġhalat
mujhe yaqīñ hai na ā.eñge merī turbat par
barā-e-fātiha chuniyegā kab mazār ġhalat
ye kis ne abrū-e-ḳhamdār se mujhe dekhā
kahāñ se aa ga.ī haq meñ mire bahār ġhalat
mire nasīb ke qausain ne diyā tohfa
kabhī to lail-e-musalsal kabhī nahār ġhalat
maiñ apnī auj kā tum ko hisāb kyā detā
mirī lakīr thī uljhī mirā madār ġhalat
maiñ apne zaḳhm-e-jigar soz-o-sāz kyuuñ likkhūñ
hazār baar ginā phir bhī hai shumār ġhalat