aap ko kyuuñ nahīñ lagā patthar
kaise nākām ho gayā patthar
laḌkiyāñ ḳhāmushī se baiThī huiiñ
haa.e vo boltā huā patthar
TūTnā Thokaroñ se behtar thā
phuul kyā soch kar banā patthar
ā.īne TuuT kar bikhar bhī ga.e
aur vo DhūñDhtā rahā patthar
mere hisse meñ saḳhtiyāñ aa.iiñ
har kisī ne mujhe kahā patthar
ek hī zindagī meñ dūsrā pyaar
ek raste meñ dūsrā patthar
majnūñ ik aisā raaz hai 'zahra'
jis ne samjhā use paḌā patthar