zor se thoḌī use pukārā karnā hai
ham ne to bas ek ishārā karnā hai
beTā beTī kā hissa kyuuñ khā jaa.e
maiñ ne ḳhud un meñ baTvārā karnā hai
bahut ziyāda bolne vaalī laḌkī ko
dīvāroñ ke saath guzārā karnā hai
varna ik din le Dūbegā vo ham ko
us dariyā se jald kināra karnā hai
ye jo use har baat pe ġhussa aatā hai
ham ne us ko pyaar se maarā karnā hai
sūkhe peḌ ko jañgal kī hariyālī meñ
mushkil apnā aap gavārā karnā hai