chāñd kī bebasī ko samjhūñgī
raushnī kī kamī ko samjhūñgī
ek patthar se dostī kar ke
aap kī be-ruḳhī ko samjhūñgī
maiñ charāġhoñ ko taaq par rakh kar
hāsil-e-zindagī ko samjhūñgī
is badan kā tilism TuuTe to
phuul kī tāzgī ko samjhūñgī
log kahte haiñ jab mujhe behis
maiñ bhalā kyuuñ kisī ko samjhūñgī
phone par baat hogī fursat se
aur ik ajnabī ko samjhūñgī
mujh se ummīd mat lagāo tum
maiñ nahīñ jo sabhī ko samjhūñgī
jā ke dariyā kināre baiThūñgī
shor meñ ḳhāmushī ko samjhūñgī
maiñ suhūlat-pasand huuñ 'zahrā'
aapsī dushmanī ko samjhūñgī