zahraa Qarar

haqiqaton ko fasana nahin banati main

zahraa Qarar

Mumbai, Maharashtra, India

1984
haqīqatoñ ko fasāna nahīñ banātī maiñ
tumhāre ḳhvāb se ḳhud ko nahīñ jagātī maiñ
vo fāḳhta kī alāmat agar samajh jaatā
to us ke sāmne talvār kyuuñ uThātī maiñ
janāb vāqa.ī maiñ ne kahīñ nahīñ jaanā
vagarna aap kī gaaḌī meñ baiTh jaatī maiñ
phir ek-dam mire pairoñ meñ gir ga.e kuchh log
qarīb thā ki koī faisla sunātī maiñ
ḳhudā kā shukr ki vo rāste se lauT gayā
agar vo aatā to us ko kahāñ biThātī maiñ
kisī ḳhayāl meñ hāthoñ se chhūT jaate haiñ
ye jān-būjh ke bartan nahīñ girātī maiñ
vo dil ho yā mirī guḌiyā kī maut ho jo ho
hamesha sog meñ chūlhā nahīñ jalātī maiñ
maiñ māntī huuñ mirā faisla ġhalat niklā
tumhīñ batāo ki pahle kise bachātī maiñ
mirā badan kisī titlī se kam nahīñ 'zahrā'
to mar na jaatī agar tere haath aatī maiñ
Top Urdushayar.com