zahraa Qarar

rakhi na gai dil mein koi baat chhupa kar

zahraa Qarar

Mumbai, Maharashtra, India

1984
rakhī na ga.ī dil meñ koī baat chhupā kar
dīvār se Thahrā thā koī kaan lagā kar
tū ḳhvāb hai yā koī haqīqat nahīñ ma.alūm
kartī huuñ maiñ tasdīq abhī battī jalā kar
maa.il thī maiñ ḳhud us kī taraf kyā patā us ko
vo mujh se muḳhātab huā rūmāl girā kar
milne ke liye kaisī jagah DhūñDh lī tum ne
maiñ chhū bhī nahīñ saktī tumheñ haath baḌhā kar
guzrī kisī kī raat ġham-e-hijr meñ rote
kamra kisī ne rakkhā thā phūloñ se sajā kar
phir koī nayā kaam nikal aayā thā kam-baḳht
baiThī bhī nahīñ thī maiñ abhī khānā banā kar
beTe ne kahā maañ mujhe matlab bhī batāo
uThne hī lagī thī use qur.ān paḌhā kar
Top Urdushayar.com