lafz kī tah se ye mafhūm talak jaatī hai
fikr kī aag hai tahrīr kā dam khātī hai
kuchh na kahte hue rakhtā hai asar kahne kā
in havāoñ kā lab-o-lahja tilsmātī hai
mujh ko laa.ī hai ka.ī baar tire kūche tak
ḳhvāb-zāroñ se jo ik raah guzar jaatī hai
ḳhud ko ā.īna banā rakkhā hai jab se meñ ne
zindagī sāmne aate hue sharmātī hai
rañg laa.ī mirī āñkhoñ kī jalan ai 'jāmī'
kūcha-e-shab se ujāloñ kī havā aatī hai