sarsarāhaT dard kī riste hue zaḳhmoñ kī guuñj
zindagī meñ Dhal ga.ī hai fikr ke lamhoñ kī guuñj
baT ga.ī hai shiddat-e-ehsās-e-ġham kī bāzgasht
tiptipā.e dīda-e-pur-āb se ashkoñ kī guuñj
ruuh kī chīḳheñ badan meñ bahr-e-tasdīq-e-hayāt
aur tausīq-e-navā-e-dil tirī yādoñ kī guuñj
nuur kā qatra koī Tapke añdherī raat meñ
dil ke sannāTe meñ ubhrī yuuñ tire qadmoñ kī guuñj
merā fan goyā hai 'jāmī' raushnī kā ham-safar
merī ġhazloñ meñ nihāñ hai ruuh ke zaḳhmoñ kī guuñj