Azhar Lakhnawi

dekhiye chalta hai paimana kidhar se pahle

Azhar Lakhnawi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
dekhiye chaltā hai paimāna kidhar se pahle
bazm meñ shor hai har samt idhar se pahle
ġham kī tārīk ghaTāoñ se pareshān na ho
tīrgī hotī hai āsār-e-sahar se pahle
aap jis rāhguzar se haiñ guzarne vaale
ham guzar aa.e haiñ us rāhguzar se pahle
mujh se dekhe nahīñ jaate haiñ kisī ke aañsū
poñchh lo ashk zarā dīda-e-tar se pahle
husn vaale to bahut phirte haiñ har sū lekin
tum sā koī nahīñ guzrā hai nazar se pahle
ek manzil hai magar raah ka.ī haiñ 'az.har'
sochnā ye hai ki jāoge kidhar se pahle
Top Urdushayar.com