ye mohabbat kā fasāna bhī badal jā.egā
vaqt ke saath zamāna bhī badal jā.egā
āj-kal meñ koī tūfān hai uThne vaalā
ham ġharīboñ kā Thikāna bhī badal jā.egā
mujh se lillāh na sarkār chhuḌā.eñ dāman
aap badle to zamāna bhī badal jā.egā
phir bahār aa.ī hai gulshan kā nazāra kar lo
varna ye vaqt suhāna bhī badal jā.egā
muflisī masnad-e-zardār pe qābiz hogī
mahal badlegā zamāna bhī badal jā.egā
kis ko ma.alūm thā anjām ye hogā 'az.har'
ghar badalte hī gharānā bhī badal jā.egā