Saadullah Shah

kyun na hum soch ke sanche mein hi Dhal kar dekhen

Saadullah Shah

1958
kyuuñ na ham soch ke sāñche meñ hī Dhal kar dekheñ
vo jo qaa.em hai to phir ḳhud ko badal kar dekheñ
go masāfat hai kaThin aur na rasta koī
lekin is haal meñ achchhā hai ki chal kar dekheñ
ham mohabbat ko mukammal nahīñ zāhir karte
vo hinā-barg ko chuTkī meñ masal kar dekheñ
zindagī maut meñ maḳhfī hai yaqīnan apnī
misl-e-parvāna chalo ham bhī to jal kar dekheñ
ek koshish jo hai us kī use anjām to deñ
is kī ḳhvāhish pe zarā der ko Tal kar dekheñ
'sād' logoñ se tavaqqo ho to kis baat pe ho
muuñg chhātī pe mire roz vo dal kar dekheñ
Top Urdushayar.com