Saadullah Shah

ye jamal kya ye jalal kya ye uruj kya ye zawal kya

Saadullah Shah

1958
ye jamāl kyā ye jalāl kyā ye uruuj kyā ye zavāl kyā
vo jo peḌ jaḌ se ukhaḌ gayā use mausamoñ kā malāl kyā
vo jo lamha lamha bikhar gayā vo jo apnī had se guzar gayā
use fikr-e-shām-o-sahar ho kyā use ranjish-e-mah-o-sāl kyā
vo jo be-niyāz sā ho gayā vo jo ek raaz sā ho gayā
jise kuchh ġharaz hī nahīñ rahī use dast-e-harf-e-savāl kyā
huā reza reza jo dil tirā use joḌ joḌ ke mat dikhā
vo jo apne husn meñ mast hai use aa.ine kā ḳhayāl kyā
vahī hijr raat kī baat hai vahī chāñd-tāroñ kā saath hai
jo firāq se huā āshnā use ārzū-e-visāl kyā
kisī aur se kareñ kyuuñ gila hameñ apne-āp se dukh milā
vo jo dard-e-dil se ho āshnā use duniyā-bhar kā vabāl kyā
vahī gard gard ġhubār hai vahī chāroñ or fishār hai
vo jo ḳhud ko bhī nahīñ jāntā vo ho merā vāqif-e-hāl kyā
use 'sād' kaisā batā.eñ ham use kis se jā ke milā.eñ ham
vo to ḳhud sarāpā misāl hai ye gulāb kyā ye ġhazāl kyā
Top Urdushayar.com