Saadullah Shah

kisi bhi wahm ko KHud par sawar mat karna

Saadullah Shah

1958
kisī bhī vahm ko ḳhud par savār mat karnā
ḳhayāl-e-yār ko gard-o-ġhubār mat karnā
ḳhilāf-e-vāqi.a kuchh bhī ho sun sunā lenā
yahī tarīqa magar iḳhtiyār mat karnā
tumhārī aañkh meñ nafrat ho dūsroñ ke liye
tum apnī zaat se itnā bhī pyaar mat karnā
nasha chaḌhā hai to phir ye utar bhī jā.egā
jo hai surūr to is ko ḳhumār mat karnā
koī bhī rut ho vo apnā jamāl rakhtī hai
ḳhizāñ jo aa.e to is ko bahār mat karnā
ġhamoñ ke saath to jiinā hai umr bhar ke liye
ḳhushī ke saath to un ko shumār mat karnā
kisī ko jaan ke anjān ban ke milnā 'sād'
kisī ke saath bhī ye zulm yaar mat karnā
Top Urdushayar.com